Monday, April 12, 2010

Kyun. . .

Nice song! :)




Toofan thum gaya hai, yaadein bhikhar gayi
Jo miley the, guzar gaye hain
Aane wale aaye nahi
Waqt ki raeth ye haath se fisal gayi
Inn andheron mein, kho gaya hoon main
Par ujaale ye aaye nahi
Kyun. . .

Aankhe nam jo hoti, aasu pehle hi sukh gaye
Baatein kuch mann mein dabi thi
Kehte kehte bas reh gaye
Waqt ki rait ye haath se fisal gayi
Inn andheron mein kho gaya hoon main
Par ujaale ye aaye nahi
Kyon. . .


Lamha tham sa gaya hai
Ruk gaya hai ye pal
Bhula kal jo hai guzra
Hai jaana aayega jo kal
Roshni taare se hui thi
Jo jo tha mere aankhon tak
Pahunche jo, kho gayi woh darmiyan
Waqt ki rait ye haath se fisal gayi
Inn andheron mein kho gaya hoon main
Par ujaale aaye nahi
Kyon. . .

No comments: